Follow These Tips to Secure your facebook Account from Hackers - biharhunt

Latest

Sunday 9 April 2017

Follow These Tips to Secure your facebook Account from Hackers

facebook Security:


Hello friends,
Aj ki post ka topic hai ki aap kaise apne facebook account ko secure kar sakte ho..
Agar apka facebook account secure hai to ap tension free life jee sakte ho kyuki apke facebook account me apki bhot jaruri imformation hoti hai.
Agar apka facebook account secure nahi hai to apko uski tension lagi rahegi ki kahin koi apke account ko hack na kar le aur apka sara data leak ho jayega.
To aaj ki post me isi baat par dhyan deke hum apko ese tarike btane wala hu jis se apke facebook account ko koi nahi hack kar payega aur agar kisi ke pas apka password bhi hai to wo login nahi kar payega aur bhi kai security tips jo apke account ko secure rakhegi apko bas jarurat hai to Is post ko poore dhyun se padhkar follow karne ki aurshere karke apne family memberand friends ka acount bhi secure kriye.
To start karte hai facebook security tips:

Tip 1:Enable login Approval{Super Method}

Dosto is method ka use agar aap karege to aagar apke facebook account ka pasword kisi ko pta chal bhi gya to bhi wo apke facebook account me login nahi kar sakta.

To agar aap isko enable krege to Apka account ek tarah se Unhackable ban jayega.
chlo apko btata hu ki isko kaise enable karna hai..

How to enable Login approval for your facebook account:

Isko enable karne ke liye apke pas pc mode facebook ya fir pc me facebook account login honi jaruri hai aur tabhi aap login approvval on kar sakte ho..
Ap ye kaam pc ya fir pc mode facebook par bhi kar sakte ho aur pc mode facebook aap Puffin se Chla sakte hai.
follow kariye..
1.Sab se pehle apne facebook account me login kriye.
2.Ab top par Down Errow ka option hoga uspe click kriye aur settings me jaiye.



3. Ab Wahan Security par Click kriye.




4. Apko Wahan Login Approval Option Dikhegi
5.Uske aage Edit par Click Kariye Aur Login Approval ko On kar Dijiye.




Sath hi isko On krne ke baad Waha Pin option ko Bhi enable Kariye.
Lijiye Apka Login Approval On Ho Chuka hai.
Suppose agar kisi ko Apka pasword Bhi PTA chal jaye aur wo login karne Ki koshish kare to login SE Pehle Apke phone me Ek Otp Ayega Matlab Ek code Ayega usko Bharne ke baad hi Koi Login kar sakega.

Tip 2: Kisi Bhi Link me Jakar Facebook Account ko Login Na kare:

Dosto Dhyan Rahe agar koi Apko Koi Link Send Kare aur koi Image like karne, Ya usme login karke kafi Sare likes ya followers ya Kuch Bhi Lalach dekar login karne ko Bole ya koi Bhi Baat kahe to Apko Us link me jakar Login Nahi karna hai.
Agar ap login Krege to Apka pasword Hacker ke pas chla jayega
Aur Dosto.aaj kal Ek hacking Bhi chal rahi hai Ki Ap fake profile page Bnate hai aur koi agar uspe koi friend request bheje to Uska Account Hack Ho jata hai.
To esi Haalat SE Bhi Bachiye aur Login ya Kuch Bhi esa Na kare jis se apka account hack ho jaye aur Apka pasword kisi ke paas Chla jaye..

Tip 3: Apne Account ke Login Location Check Karte rahe:

Dosto Apko Apne Account ke Login Location check Karte rehna chaiye Matlab Apka account agar kahin SE kisi Hacker NE Hack karke login kiya hai to Apko Usko Check karke Turant Pasword Change kar Dena chaiye.
To chaliye mai Apko Btata hu Ki Kaise Ap Check kar sakte hai Ki Apka Account kahan SE login kiya gya hai..

How to Check Login Location:

1. Sab SE Pehle Facebook login Kariye.
2.Ab Arrow PE click Kariye Aur waha Apko Settings me Jana hai.


3.Ab security me Jaiye.
4.Wahan Neeche Apko Login Location ka option dikhega uspe Edit PE Click Kariye Aur Apke account Login Ki Sari details and Location show ho jayegi.


Agar Apko Koi Unknown location Show ho to Aap Turant apna Facebook pasword change kar lijiye.

Tip 4: Date of Birth Hide Karke Rakhiye:

Apne date of birth ko Hide karke rakhiye.Kyuki Agar Apka date of birth show hoga to Koi Hacker apke Name ka Fake government proof bnake apke Facebook account ko claim kar Sakta hai .
Esa karne SE apke account ka full access Hacker ke haath me hoga aur Ye Bilkul Galat Hoga.

Tip 5: Facebook account me Gmail add Krke rakhiye:

Apne Facebook account me Gmail jrur add Krke rakhiye Kyuki Siraf Mobile number Par bane accounts Gmail Wale accounts ke Mukable Hack karne me easy hote hain.
To Dosto Ye Meri Slaah hai Ki Aap Facebook account me Gmail jarur add kariye.

Tip 6: Public wifi me Facebook account Na Chlaya:

Public wifi jahan apke Alawa Bhi Koi aur Us wifi SE connected ho to Wahan Apko apna account Use Nahi karna chaiye.
Jab ap kisi Wifi SE connected hai to Koi Bhi Banda Jo us SE connected hai wo apke Facebook account mai ghus Sakta hai.
Isko Normal Language me Hum Cookie Stealing Bol skte hai is liye Apko Apne Facebook account ko public wifi par Nahi chlana chaiye.

Tip 7: Anti Virus ka Use kre:

Aap soch rahe hoge Ki Hacking me Anti Virus ka Kya Role hai?
Par Dosto Kai Anti-Virus KeyLoggers ko Detect kar lete hai.Apko Bta du Ki Keyloggers Ek tarah ka software hai Jo Agar koi Apke phone ya PC me Upload ya Install karde to Wo automatically Registered Mail Jo Hacker apke PC me Dalega uspar Sari Information Jo ap Keyboard PE Type Karte ho usko bhejta Rahega.
Chahe Aap Keyboard SE kuch Bhi type kare wo keylogger Hacker ko Sab send kar dega.
Is liye Anti-Virus install rakhiye Jisme keyloggers detection ka feature ho.

Tip 8: Online Games ke Link PE Mat Jaiye.

Agar koi Apko Online koi Game ka Link bheje to apko usko Nahi khelna chaiye.
Ye Ek Modern Phishing hai Jisme Hacker Apko Ek online game ka link bhejta hai aur Jab ap usko khelte hai to achanak pop-up login panel ata hai aur agar ap login kare to Apka Pasword Hacker ke paas Chla Jayega.
Is liye Is Tarh Ki Hacking Se Bachiye.

Tip 9: Strong Pasword Rakhiye:

Apne Account Ka pasword Special words,Alphabets,Numerics and Long keywords wala rakhiye.
Aksar Dekha jata hai Ki Aap Apna Account pasword easy rakhte hai Taki Aap Bhool Na jaye par Ese pasword jaise -- 12345678 , 0987654321 , Iloveyou,Ihateyou etc. Ko Brute forces and Dictionary attack SE easily hack kiya Jaa Sakta hai.
Iske liye Apko Suggestion duga Ki Pasword me har Tarah Ka Character rakhiye jaise : Y0g3$#_¢yb37H3r0Z
Ye pasword 100% Secure hai Ese pasword Brute force ya Dictonary attacks ke Pakad me Nahi Aate hai is liye try Kariye Ese hi pasword rakhne Ki.

Tip 10: Autoliers,Commented Na use Kare:

Apne account SE auto Likes ya Commented use Karte time apke account se Allow access Karte time Aap Apne account ka Sara data Website ke Sath Shere karne ko allow kar dete ho.
Apko esa Bilkul Nahi karna chaiye Kyuki is SE Apka pasword Bhi Website owner ke pas chla jata hai jis SE Wo dusre accounts me likes Deta hai aur dusre accounts SE apke Account ko.
Is liye ho sake to Is SE parhej Kariye Warna Agar use kare to Sath hi pasword change kar dijiye.
To Dosto Apko aaj Ki post achi Lagi ho to Isko Shere Jarur Kariye Aur Comment Kariye.
Kyuki agar Aap is sab ko follow Karege to Apka account aasaani SE hack Nahi ho payega.
Thanks friends keep Supporting ☺

No comments:

Post a Comment