Website Par Traffic Kaise Badhaye. - biharhunt

Latest

Monday, 19 September 2016

Website Par Traffic Kaise Badhaye.

SEO Tips – Website Par Traffic Kaise Badhaye – Hello Bloggers, Hum sab blog to bana lete hai par ham is bat se pareshan ho jate hai ki hamare blog par traffic kyu nahi aa rahi. Hamare blog ka SEO kaha kam pad raha he. Ham blog post acchese likhte he, aur post me SEO ke liye keywords bhi add karte hai. Par tab bhi visitors nahi aate. Blog ki traffic badhana jaruri hai agar aap AdSense ya fir Affiliate Marketing se paise kama rahe ho. Traffic badhane ke liye bahut se bate dhyan me rakhanaa jaruri hai. Chaliye jaante hai kya hai ki Kaise Website Par Traffic Kaise Badhaye.

To aaj hum aapko Website Par Traffic Kaise Badhaye uske liye kuch tips batatenge.

SEO Kaise Kare – Tips

Aapko ek baat samjhni padegi ki website ka loading speed bohot important hai. Agar aapki site load hone me 2 second se jada time laga rahi hai, to visitor picche hat jaate hai, aur dusri website par chale jaate hai. Hamare website jaldi se open hone ke liye fast load hone wali hi Theme install kare. Agar aap blogger par hai to accha template choose kare. Saath me hamari website achi bhi dekhe ye bhi dhyan me rakhte hue template hame set karana hai. Par agar sirf dekhne me gaye aur jada CSS aur JavaScript use kar dali to speed par bohot ulta asar hota hai. Visitors hamare website open kare to jalde se hamre website open hone chahiye nahi to visitor chale jate hai. Website ka speed janane ke liye bohot se tools online available he. PingDom, Ping Bot unmese hai. (Best SEO Tips Website Par Traffic Kaise Badhaye).

Blog ka Title hamesha unique hona chahiye. Yad rakhe ki blog chunte wakt hi aisa chuniye ki wo kisi ek keyword par jada focus karta ho. Wahi keyword apne blog ke title me add kare. Blog ka title short nahi hona chahiye kyuki short title ko Google allow nahi karta aur search engine me aane me problem hoti hai. Esliye Blog ka title 35 characters tak lamba rakhe. (Best SEO Tips Website Par Traffic Kaise Badhaye).

Description me aapne post ki details short me likhane chahiye taki visitors ko pata chale ki es post me kya hai. Jab hum google me kuch search karte hai, tab jab site ke link ke niche jo description aati he, use Meta Description ya Search Description kehte hai. Search Description me don tin bar apne keyword ko add kare taki niche aur bhi strong ho jaaye. (Best SEO Tips Website Par Traffic Kaise Badhaye).

Blog ke post anusar blog me ek image dalana jaruri hai. Taki visitors ko image se pata chale ye post kisase related hai. Image visitor attract karne me bohot madadgar sabit hoti hai. Image ko jada tar white background me rakhe. Aur agar possible hai to animated images ka istemaal kare. Kisi aur websites se images copy na kare. Copyright act me aap pakde jaa sakte hai.

Image optimization ka matlab hai image daalte samay image ka bhi SEO kare. Har image ke saath ek alt attribute tag rehta he. Us attribute me image ka basic detail add kare. Image upload karte wakt usko compress kar le. WordPress me kafi aache plugins hai. Example – WP Smush.

Blog ke har paragraph ke liye ek Heading honi chahiye, H1, H2 aur H3 Heading ka use kare. Post publish karte wakt Labels add kare, Labels ya Tags ka instemaal Google ranking me bohot jaroori hai. Har post me kam se kam 3 ya 4 lable hona jaruri hai. Searching aur visitor navigation me labels ka use hota hai.

Facebook, Google Plus, Twitter , LinkedIn .etc es social media site par prifile or page banaye . Hamare post us social media site par share kare. Hamare blog par share button ka use kare jaise ki Facebook , Twitter , Google Plus etc. Taki visitors ko haamare post achi lage to wo post unke friends ko share kar sake. (SEO Website Par Traffic Kaise Badhaye).

Visitors badhane ke liye ye ek best idea hai ke blog commenting kare. Dusari site par apne commnet kare. Ham jab commnet karte hai tab hamare site ki link us site par post kare. Taki koi be visitors us site par aayega to wo hamare site par bhi aa sakata hai. Back links paane ke liye aap directory submissions aur classified submissions bhi kar sakte he.

Agar apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives mai share jarur kare.

No comments:

Post a Comment